main aur ap
dur hokar bhi roj mite hain
kuch nayi kuch purani Baton
per roj jagarte hain
hain 2no ek dusro se anjan
per kyun hum ek dusre ka intjar karte hain
pata nahi
main aur ap dur hokar bhi kyun roj milte hain
kuch ap me kuch mujhme
kuch us anjane palme
jo kab hume sath aur kab dura kar hai
phir bhi hum bekhabar us pal ka intejar kyun karte hain
main aur ap dur hokar bhi kyun roj milte hain
ap kaun hain ye mani nahi janta
main kaun hun ye ap nahi janti
phir bhi 2no me kuch hai
jo hum eek dahge me kyun bandta hai
kyun mujhe apki aur kichta hai
pata nahi kyun main aur…
ap sapna hain ya haquequat main nahijanta
ap osh ki bund hai ya sawan ki barish main nahi janta
per kyun ap ki ahat mere rom rom ko bhinga jati hai
pata nahi kyun main aur ap dur hokar bhi kyun roj milte hain..
ap ki awaj ko main sun to nahi sakta
per ap ki churion ki khanak mujhe kyun sunai padti hai
main ap ko delh to nahi sakta
per meri kalpana me ap ki murat kyun dikhai deti hai
is anjane riston ko main kya samjhu
sach ya sapna ye nahi janta
phir main aur ap dur hokar kyun roj milte hain……………………………………
No comments:
Post a Comment